|
Qamar Jalalabadi Ki Chuninda Ghazlen aur Nazme
Kam na thi lazzaten gunahon me Kyun bane paarsaa Khuda jane.
?
Aawaaz de rahi hai yeh kiski nazar Mujhe Shayad mile kinara wahin doobkar Mujhe
Chaha Tujhe to khud se Mohabbat si ho gayi Khone ke baad mil gayi apni khabar Mujhe
Har har kadam pe saath hoon saya hoon mai tera Ai bewafa dikha to zara bhool kar Mujhe
Duniya ko bhoolkar teri duniya me aa gaya Le jaa raha hai kaun idhar se udhar Mujhe
Duniya ka har nazara nigahon se chheen le Kuch dekhna nahi hai tujhe dekhkar Mujhe
?
Dil pareshaan hai raat bhaari hai Raat kya umra yun guzari ha
Wo haseen fitratan shikari hai Dena awaaz kiski baari hai
Maut kya Zindagi ko maaregi Zindagi Zindagi ki maari hai
Subah aayi nahi bulayi gayi Raat guzri nahi guzaari hai
Dil be-muda-a kissika nahi Saara sansaar hi bhikhari hai
Uska jalwa na dekh paaya koyi pardadaari ki pardadaari hai
?
Aa gaya dil kissipe aana tha Aapka husn ik bahana tha
Iptada-e-shabab bhi kya thi Chand taaron me aashiyana tha
Tinke tinke se mil ke roye hum Jaisa har tinka aashiyana tha
Ab to hai kunj kafas se badhtar Aap rahte to aashiyana tha
Barq ka shukriya ada kar loon Kitna be-noor aashiyana tha
Maine ghutkar kafas me dam todaa Saamne mera aashiyana tha
Barq ko aasmaan se aana pada Ek chhotasa aashiyana tha
Chand ghadiyaan kuch aisi bhi guzreen Na kafas tha na aashiyana tha
?
Ik haseen lajawaab dekha hai Raat ko Aaftaab dekha hai
Gora mukhda yeh surkh gaal tere Chandni me gulaab dekha hai
Nargisi aankh zulf shabrangi Baadlon ka jawab dekha hai
Jhoomte jaamsa chhalakta badan Ek jaam-e-sharaab dekha hai
Hum to milkar na mil sake tumko Tumko dekha ke khwab dekha hai
?
Yaarab tere karam se yeh sauda karenge hum Duniya me pi ke khald me tauba karenge hu
Yun rasme-e-husn-o-ishq ko ruswa karenge hum Tum muntazir rahoge na aaya karenge hum
Aaine me khud apna tamasha karenge hum Yun bhi shab-e-firaaq guzaara karenge hum
Jab taq na nazar aaoge aisa karenge hum Har roz ik Khuda ko taraasha karenge hum
Tujhko bithake doorse dekha karenge hum Yun bhi tere guroorse khela karenge hum
Jaa tujhse beniyaaz huye Bhule tera zikra Tu chahega to teri Tamanna karenge hum
?
Yaar aata nazar nahi aata Dard jaata nazar nahi aata
Jholi phaila chuke Mohabbat ki Koyi Daata nazar nahi aata
Ab to koyi bhi kuve-ulfat me Aata jaata nazar nahi aata
Log kahte hain geet hai Jeewan Koyi gaata nazar nahi aata
Ab yakeen ho chala ke unka haath Haath aata nazar nahi aata
?
Bakhabar tha ik nazarme do jahan le jaega Meri jaan ban kar wo ik din meri jaan le jaega
Aakhri hichki se pahle chaaragar se poochloon Jo nazar aata nahi rishta kahan le jaega
Maikada daer-o-haram yaan koyi diwanoki bazm Tujhse yeh bichhada hua lamha kahan le jaega
Voh jo pichhle saal sab kheton ko sona de gaya Ab ke wo toofan kis kis ka makaan le jaega
Wo chala jaega mujhse karke iqraar-e-wafa Tod jaega safina baadbaan le jaega
Ishq me isne to jalana hi nahi seekha Kabhi Aag de jaega mujhko khud dhuan le jaega
?
Chhotisi berukhi pe shikayat ki baat hai Aur voh bhi is liye ki Mohabbat ki baat hai
Maine kaha ke aaye ho kitne dinon ke baad Kahne lage huzoor yeh fursat ki baat hai
Maine kaha ke mil ke bhi hum kyun na mil sake Kahne lage huzoor yeh kismat ki baat hai
Maine kaha ke rahte ho har baat par khafa Kahne lage huzoor yeh qurbatki baat hai
Maine kaha ke dete hain dil tum bhi laao dil Kahne lage ke yeh to tijarat ki baat hai
Maine kaha kabhi hai sitam aur kabhi karam Kahne lage ke yeh to tabiyat ki baat hai
?
Hai saare jag ka tu Daata yeh zimma le liya tune Magar jo jiske kaabil hai wahi usko diya tune
Kissiko deke daulat tune uski chheen li neenden Kissiko muflisi dekar bharosa de diya tune
Kissiko ishq dekar saari duniya loot li uski kissiko sabr dekar saara aalam de diya tune
Main apni zaat par jab gaur karta hoon to kahta hoon Bahot kam ke mai kaabil tha bahot kuch de diya tune
?
Main badi der me samjhe hoon yeh kya hoti hai Zindagi apni hi gumbad ki saza hoti hai
Waqt tal jata hai jab lab pe dua hoti hai Wo bhi tab hota hai jab Uski raza hoti hai
Wasla to marz-e-mohabbat hai Mohabbat walo Khud Mohabbat hi Mohabbat ka sila hoti hai
?
Humnashin kaise bataun jazba-e-ulfat kya hai Khud bataegi Mohabbat ke Mohabbat kya hai
Ishq ko log kyun majahi samajh baithe hain Gar nahi ishq Haqueequat to Haqueequat kya hai
Ishq ko bhoolke jannat ki hai duniya ko talaash Ishq ki aag gar dozakh hai to jannat kya hai
Aaya parwana gira shama par jal jal ke mara Tu abhi soch raha hai ke Mohabbat kya hai
Abhi wo aaye the yaa unka khayal aaya tha Ai mere shauk zara bol haqeequat kya hai
Meri badli huyi rangat meri haalat dekho Dosto ab to samajh lo ke Mohabbat kya hai
?
Wo sitamgar hai khayalaat samajhne wala Mujhse pahle mere jazbaat samajhne wala
Maine rakha hai hamesha hi tabbassum lab par Ro diya kyun mere haalaat samajhne wala
Jo na samjhe teri manzil wo yunhi chalta raha Ruk gaya tere muqamaat samajhne wala
Jo na samjhe wo banate raha laakhon baatein Hua khamosh teri baat samajhne wala
Raaz-e-taqdeer pe kya roshni daalega koyi Khud sawaali hai sawalaat samajhne wal
?
Ghazal sung by
Jagjit Singh at Wembley Hall, London
Suna tha ki voh aayenge anjuman me
Suna tha ki unse mulaquat hogi
Hume kya pata tha,hume kya khabar thi
Na yeh baat hogi,na voh baat hogi…
Mai kahta hoon is dil ko dil me basa lo
Voh kahte hain hum se nigahen mila lo
Nigahon ko maloom kya dil ki haalat
Nigahon nigahon me kya baat hogi
Hume kheench kar ishq laaya hai tera
Tere dar pe hum ne lagaaya hai deraa
Hume hoga jab tak na deedaar tera
Yahin subah hogi yahin shaam hogi
Mohabbat ka jab hum ne chhedaa fasaana
To gore se chehre pe aaya paseena
Jo nikle the ghar se to kya jaante the
Ki yun dhhoop me aaj barsaat hogi…
Suna tha ke voh aayenge anjuman me…
?
|