Qamar Jalalabadi
  • QJ Blog
  • The Lyricist
  • QJ's Songs
  • QJ's Shairy
  • QJ's Ghazals
  • 50 BEST SONGS OF QAMAR JALALABADI
  • POSTER GALLERY OF FILMS OF QAMAR JALALABADI

Qamar ke chuninda Ghazlen aur Nazme...

Picture











Aawaaz de rahi hai yeh kiski nazar Mujhe
Shayad mile kinara wahin doobkar Mujhe 

Chaha Tujhe to khud se Mohabbat si ho gayi
Khone ke baad mil gayi apni khabar Mujhe


Har har kadam pe saath hoon saya hoon mai tera
Ai bewafa dikha to zara bhool kar Mujhe 

Duniya ko bhoolkar teri duniya me aa gaya
Le jaa raha hai kaun idhar se udhar Mujhe  

Duniya ka har nazara nigahon se chheen le
Kuch dekhna nahi hai tujhe dekhkar Mujhe

-x-
 
Dil pareshaan hai raat bhaari hai
Raat kya umra yun guzari ha 

Wo  haseen fitratan shikari hai
Dena awaaz kiski baari hai 
 
Maut kya Zindagi ko maaregi
Zindagi Zindagi ki maari hai 

Subah aayi nahi bulayi gayi
Raat guzri nahi guzaari hai 
 
Dil be-muda-a kissika nahi
Saara sansaar hi bhikhari hai 

 Uska jalwa na  dekh paaya koyi
Pardadaari ki pardadaari hai

-x-

 Aa gaya dil kissipe aana tha
Aapka husn ik bahana tha 

Iptada-e-shabab bhi kya thi
Chand taaron me aashiyana tha 
 
Tinke tinke se mil ke roye hum
Jaisa har tinka aashiyana tha 
 
Ab to hai kunj kafas se badhtar
Aap rahte to aashiyana tha 

Barq ka shukriya ada kar loon
Kitna be-noor aashiyana tha 
 
Maine ghutkar kafas me dam todaa
Saamne mera aashiyana tha 

Barq ko aasmaan se aana pada
Ek chhotasa aashiyana tha 
 
Chand ghadiyaan kuch aisi bhi guzreen
Na kafas tha na aashiyana tha

-x-
 
Ik haseen lajawaab dekha hai
Raat ko Aaftaab dekha hai 

Gora mukhda yeh surkh gaal tere
Chandni me gulaab dekha hai 
 
Nargisi aankh zulf shabrangi
Baadlon ka jawab dekha hai 
 
Jhoomte jaamsa chhalakta badan
Ek jaam-e-sharaab dekha hai 

Hum to milkar na mil sake tumko
Tumko dekha ke khwab dekha hai

-x-
 
Yaarab tere karam se yeh sauda karenge hum
Duniya me pi ke khald me tauba karenge hu 
 
Yun rasme-e-husn-o-ishq ko ruswa karenge hum
Tum muntazir rahoge na aaya karenge hum 
 
Aaine me khud apna tamasha karenge hum
Yun bhi shab-e-firaaq guzaara karenge hum 
 
Jab taq na nazar aaoge aisa karenge hum
Har roz ik Khuda ko taraasha karenge hum 
 
Tujhko bithake doorse dekha karenge hum
Yun bhi tere guroorse khela karenge hum 
 
Jaa tujhse beniyaaz huye Bhule tera zikra
Tu chahega to teri Tamanna karenge hum

-x-
 
Yaar aata nazar nahi aata
Dard jaata nazar nahi aata 

Jholi phaila chuke Mohabbat ki
Koyi Daata nazar nahi aata 

Ab to koyi bhi kuve-ulfat me
Aata jaata nazar nahi aata 
 
Log kahte hain geet hai Jeewan
Koyi gaata nazar nahi aata 

Ab yakeen ho chala ke unka haath
Haath aata nazar nahi aata

-x-
 
Bakhabar tha ik nazarme do jahan le jaega
Meri jaan ban kar wo ik din meri jaan le jaega  

Aakhri hichki se pahle chaaragar se poochloon
Jo nazar aata nahi rishta kahan le jaega 
 
Maikada daer-o-haram yaan koyi diwanoki bazm
Tujhse yeh bichhada hua lamha kahan le jaega 
 
Voh jo pichhle saal sab kheton ko sona de gaya
Ab ke wo toofan kis kis ka makaan le jaega 
 
Wo chala jaega mujhse karke iqraar-e-wafa
Tod jaega safina baadbaan le jaega 

 Ishq me isne to jalana hi nahi seekha Kabhi
Aag de jaega mujhko khud dhuan le jaega

-x-
 
Chhotisi berukhi pe shikayat ki baat hai
Aur voh bhi is liye ki Mohabbat ki baat hai 
 
Maine kaha ke aaye ho kitne dinon ke baad
Kahne lage huzoor yeh fursat ki baat hai 
 
Maine kaha ke mil ke bhi hum kyun na mil sake
Kahne lage huzoor yeh kismat ki baat hai 
 
Maine kaha ke rahte ho har baat par khafa
Kahne lage huzoor yeh qurbatki baat hai 
 
Maine kaha ke dete hain dil tum bhi laao dil
Kahne lage ke yeh to tijarat ki baat hai 
 
Maine kaha kabhi hai sitam aur kabhi karam
Kahne lage ke yeh to tabiyat ki baat hai

-x-

  Hai saare jag ka tu Daata yeh zimma le liya tune
Magar jo jiske kaabil hai wahi usko diya tune 

Kissiko deke daulat tune uski chheen li neenden
Kissiko muflisi dekar bharosa de diya tune 

Kissiko ishq dekar saari duniya loot li uski
kissiko sabr dekar saara aalam de diya tune 
 
Main apni zaat par jab gaur karta hoon to kahta hoon
Bahot kam ke mai kaabil tha bahot kuch de diya tune

-x-
 
Main badi der me samjhe hoon yeh kya hoti hai
Zindagi apni hi gumbad ki saza hoti hai 
 
Waqt tal jata hai jab lab pe dua hoti hai 
Wo bhi tab hota hai jab Uski raza hoti hai 
 
Wasla to marz-e-mohabbat hai Mohabbat walo
Khud Mohabbat hi Mohabbat ka sila hoti hai
 
 -x-

 Humnashin kaise bataun jazba-e-ulfat kya hai
Khud bataegi Mohabbat ke Mohabbat kya hai 
 
Ishq ko log kyun majahi samajh baithe hain
Gar nahi ishq Haqueequat to Haqueequat kya hai 
 
Ishq ko bhoolke jannat ki hai duniya ko talaash
Ishq ki aag gar dozakh hai to jannat kya hai 
 
Aaya parwana gira shama par jal jal ke mara
Tu abhi soch raha hai ke Mohabbat kya hai 
 
Abhi wo aaye the yaa unka khayal aaya tha
Ai mere shauk zara bol haqeequat kya hai 
 
Meri badli huyi rangat meri haalat dekho
Dosto ab to samajh lo ke Mohabbat kya hai

-x-

 Wo sitamgar hai khayalaat samajhne wala
Mujhse pahle mere jazbaat samajhne wala 
 
Maine rakha hai hamesha hi tabbassum lab par
Ro diya kyun mere haalaat samajhne wala 
 
Jo na samjhe teri manzil wo yunhi chalta raha
Ruk gaya tere muqamaat samajhne wala 
 
Jo na samjhe wo banate raha laakhon baatein
Hua khamosh teri baat samajhne wala 
 
Raaz-e-taqdeer pe kya roshni daalega koyi 
Khud sawaali hai sawalaat samajhne wal

-x-

Create a free website with Weebly